Salam dosto
This time, a ghazal of Josh Malihabadi ![]()
Naqsh-e-Khayaal dil se mittaaya nahiin hanuz
bedard mein ne tujh ko bhulaaya nahiin hanuz
Vo sar jo terii rah guzar mein thaa sajdaa-rez
mein ne kisii qadam pe jhukaaya nahiin hanuz
mehraab-e-jaan mein tu ne jalaaya thaa Khud jise
siine kaa vo charagh bujhaaya nahiin hanuz
behosh ho ke jald tujhe hosh aa gayaa
mein bud nasiib hosh mein aayaa nahiin hanuz
mar kar bhii aaye gii ye sadaa qabr-e-“Josh” se
bedard mein ne tujh ko bhulaaya nahiin hanuz