Namak kaa zaaiqa

Thaa bohat shikwoun kaa aadi aik murshid kaa mureed

uss ki aadat thi key khushiyoun sey bhi gham kartaa kasheed

aik din murshid ney bheja uss ko key ley aaye namak
umr bhar key waastey taakey seekh ley woh ik sabaq

jab woh ley aayaa namak toh hukm murshid ney diyaa
aik cup paani mein ik mutthi namak ki ab mila

pii key phir paani, bataa kaisa hai iss kaa zaaiqa?
ghoont ik bharety hi woh shikwoun kaa aadi rou paraa

jorr kar phir haath woh murshid sey yoon kehney lagaa
pii naa paaun gaa isey hey zehar iss kaa zaaiqa

hans diyaa murshid kaha chal jheel ki jaanib chalein
iss tajarbey kou ik naye dhang sey ab karein

jheel par pohanchey tou murshid ney kahaa be-saakhta
cup sey jou paani piyaa uss kaa bhula dey zaaiqa

ghol dey mutthi namak ki jheel mein ab key zaraa
phir isey pii kar bataa kaisaa hai iss kaa zaiqaa

aik jug paani kaa ab woh be-takalluf pii gayaa
par namak kaa zaaiqa mehsoos tak naa kar sakaa

dekh kar yeh maajra murshid ney uss sey yoon kahaa
ab jou kehnay kou hoon piyaare ghour sey zaraa sunna

apney bartan par hai karwaahat kaa sab daar-o-madaar
zarf chotaa hai tou karwaahat lagey gi be-shumaar

gar hou tum shikwoun key aadi har taraf gham paao gey
canvas apnaa wase’e kar lou tou sab seh jaao gey…

Re: Namak kaa zaaiqa

waah…bahot Khoob.

namak se yaad aayaa k India ke ek shahr meN aajkal namak kii shadeed qillat hai aur namak Rs 250 fee kilo bikne lagaa hai…sochtaa huN namak kaa hii bijnis shuru kar duuN! :cb:

Re: Namak kaa zaaiqa

lol, idea buraa nahin hai…

Re: Namak kaa zaaiqa

nice.. baba ko Canvas ka koi mutabadal nahin mila Urdu main?

Re: Namak kaa zaaiqa

Bihar main namak 150 rupe kilo kaise ho gaya?

Re: Namak kaa zaaiqa

btw, canvas ko Urdu emN kia kahte haiNge? :hmmm:

Rs. 150? kia sasta ho gayaa? maiN ne to news meN Rs. 250 sunaa thaa aaj subHo meN! :hmmm:

namak Bihar meN kiuN mahngaa ho gayaa? shaayad Laaloo Prasad Yadav Namak Mafia ne aisii masnoo’ii shortage kii ho…zaroor “noan ghoTaalaa” yaa “noan kaanD” huaa hai koii! :smiley:

noan = namak

Re: Namak kaa zaaiqa

Canvas =
پلاس ۔ تَرپال ۔ سَن ۔ ٹاٹ

Re: Namak kaa zaaiqa

waah bhaii, waah! :slight_smile: tirpaal to sunaa huaa thaa kiuN k jo ‘bamboo meN tamboo’ lagaa hotaa hai vo tirpaal kaa hii banaa huaa waa hotaa hai! :slight_smile: TaaT kii boriyaa bantii hai na? 'BHAAII" ko zaroor pataa hogaa! :wink: :cb:

Re: Namak kaa zaaiqa

Bhai aur Mukti Bahni sab ko taat aur San ka pata hai :wink:

Re: Namak kaa zaaiqa


samjhaa nahiiN :(

Re: Namak kaa zaaiqa

taat ki bori (from Karachi) aur Pat San ka san (from Bengla Desh)

Re: Namak kaa zaaiqa

:lajawab: moral

Re: Namak kaa zaaiqa

abhii bhii samajh men nahiiN aayaa :frowning: kund zehn huN na! :frowning:

pat aur san kia hotaa hai? :hmmm:

Re: Namak kaa zaaiqa

Bangladesh’sproduct Jute (Pat-san)

Re: Namak kaa zaaiqa


ohhh...ok ... i know this word but i thought they were TWO different words...thankoo...

...magar patsan kaa mukti baahini se kia ta'alluq thaa?

Re: Namak kaa zaaiqa

separatist elements said income from Jute was not expended on the people of area where it grown.