Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon,

Akailay Mai Hoon To Faryaad Kar Leti Hoon,

Hijar Ki Raaton Mai, Sisak Sisak Kay Roh Leti Hoon,

Tanhayi Kay Dinon Mai Uss Ki Aik Jhalak Dekhnay Ko Taras Jaati Hoon,

Chalte Chalte Raahon Mai Uss Ka Rasta Takti Hoon,

Aik Din Insha’allah Humara Hoga Millan,

Iss Umeed Kay Saharay Dil Behla Leti Hoon

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Dil behlana achi baat nahi :no:

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Allah aap ki murad puri kare..

Waise ye shayari padh kar mujhe Black & White movie ke gamgheen gane yaad aa rahe hain… sab jag soye humm jaaaaaaaaaaaaaaaage… :crying:

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

aap black and white k zamane mai bhi thay :5:

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

:emmy: main to Habeel aur Qabeel ke zamane bhi tha..

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

itne buzurg hain aap :hat:

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Habeel and qabeel :confused:

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

:emmy: aap tarjume ke sath Quran padha karen

Re: Namaaz Parhoon To Dua Mai Haath Uthati Hoon

Ek Dafa parha tha :teary2: