NAKAM EEY MOHABAAT .......

Na janay yeah kiss kee dua kaa assar hay
kay woo mujh say abb isqadar bay khabar hay

Jahan gongtaay usss kaay naqrayee naghmaay
Wahan kuch naheen abb faqat baam oo daar hay

Haar eek simt veraanee hanstee haay mujh paay
woo mahboob teraa bataa abb kidhar hay ?

Naa samjhoo kay haay yad saay uss kee ghafil
Abhee taak khooj maain woo shoreedaa sar hay

Ramoozey mohaabt na Khalid naay janaay
Tabhee khud say nalaan hovaa issqadar haay

**Khalid Qureshi **
3.4.06

Re: NAKAM EEY MOHABAAT .......

Na janay yeah kiss kee dua kaa assar hay
kay woo mujh say abb isqadar bay khabar hay

Haar eek simt veraanee hanstee haay mujh paay
woo mahboob teraa bataa abb kidhar hay ?

Ramoozey mohaabt na Khalid naay janaay

Tabhee khud say nalaan hovaa issqadar haay

Bohat ache!!! Beautiful :-)
Agar na-gavaar na guzre to ek arz hai k aap ne is she'r mein;
Jahan gongtaay usss kaay naqrayee naghmaay
Wahan kuch naheen abb faqat baam oo daar hay
baam o dar k liye waahid ka seehga use kia hai, jab k is k liye jama ka seehga istemaal hoga, yaani "baam o dar hain". Ghazal ki radeef choon k "hay" use hui hai so is she'r ki ghazal mein jaga nahi banti.
With due respect...

Re: NAKAM EEY MOHABAAT .......

Thanks for correction Zamil. I will change it accordingly .. :)

Khalid