taraash ker mere bazo` uraan choor gaya
hawa k pas bar-hana kamaan choor gaya
rafaQaton ka merii us ko dhiyaan kitna tha zameen le lee mgr aasman choor gaya
ajeeb shaks tha barish ka rung dekh ker bhee
khullay dareechay pe aik phool-daan choor gaya
jo baadalon se bhee mujhko chupaye rakhta tha barhii hai dhoop tu bay-saiban choor gaya
nikal gaya kaheen un-dekhay paniyon ki taraf zameen k naam khula baadban choor gaya
aQaab ko gharzz thee fakhta pakarne ki
jo gir gayee tu yunhii neem-jaan choor gaya
na janay koun sa asaibb dil mein basta hai
k jo bhe thehra wo akhir makaa`n choor gaya
uQub mien gehra samander hai saamnay jungle
kis inteha pe mera mehrba`n choor gaya *