Najaanay kaun see khataa kee sazaa paayee hai
Ye jo kismat main azal say lik’hee tanhayee hai
Mojhay to khood say ziyaada hai aitmaad uss pay
Ye kaisay maan loo(n) sanam meraa harjaayee hai
Ab uss kay dill main ch’hopee baat bhee parh laitaa hoo(n)
Aik moddat say unn aank’ho(n) say shanaasayee hai
Samajh sakaa hai kaun fitrat-e-zan aaj talak
Uss kee aawaaz main siskee hai ya shehnaayee hai
Dasht-e-ulfat main kadam soch kay rak’hnaa Saadiq
Keh iss dayaar kee soghaat hee jodayee hai