Main jism-o-jaan kai tamaam rishtoon sai chahata hoon
main samajhataa naheeen asha kiyoon haii
na kaal-o-khud ka jamal us main ,na zindagi ka kamal koi
jo koi un main hunaar bhi ho ga
to muj ko us ki khabar naheen hai
na jane phir kiyoon!
main wakt kai dairooon kai bahir kishi tasawur main uurr raha hoon
khiyaal main khawaaab-o-khulwut-e-zaat-o-jalwat-e-bazam main shab-o-rooz
maira lahoo apni gardishoon main ushii ki tasbeeh parh raha haii
jo mairii chahat sai bai khabar hai
kabhi kabhii wo nazar chura kai kareeeb sai mairaii yoon bhi guzraa
kaii jaisai wo ba khabar haii
mairi mohabatoon saii
dil-o-nazar ki hikayatain sun rukhii hain us naii
mairi hi soorat
wo wakt kai dairoon sai bahir kishi tasawur main uurr raha hai
khiyaal main khowaaab-o-khulwut-e-zaat-o-jalwatt-e-bazam main shab-o-rooz
wo jism-o-jaan kai tamaam rishtoon sai chahata haii
mugar naheeen jantaa ya wo bhi
kai asha kiyoon hai
main sochata hoon ,wo sochata hai
kabhi milai hum to Aainon kai tamaam batin ayaan kar dain gai hum
hakikatoon ka safar karain gaii
~~~~~~*
~~~~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
“The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up.”
~~~~*