AssalamAlaikum!
Aik dafa aik aadmi aik qabr k paas sey guzra, to uss ney dekha k qabr k under aik murda Qura’an parh raha hai. Uss aadmi ney murdey sey poocha “Yeh kiya kar rahey ho?” Murdey ne jawaab diya “Qura’an Parh raha hon”. Aadmi ney poocha “kitne arsey sey” Murdey ney jawaab diya “500 saal sey” Aadmi ney kaha “Subhanallah”, Murdey ney kaha “Iss Subhanallah ka sawaab tu mujhe baksh dey” Aadmi ney kaha “kiyon ??” Murdey ney jawaab mein kaha " K mein jo qabr mein 500 saalon sey ibadat kar raha hon utni ibaadat ka sawaab tujhe sirf iss Subhaanallah ka mil gaya hai" Yaani Qabr ki 500 saal ki ibadat Dunya ka aik dafa Subhanallah kehney k brabar hai. MEri aap sab sey guzarish hai k jitna ho sake naikiyaan kartey rahein
Re: Naiki Plz must read this
Abhee muhlat hei neikiaan karnei kee.
Re: Naiki Plz must read this
Thank you for sharing,
lekin who opened the grave, normally tu murda nazar nahee aata na?
Aur jab usko maloom tha keh Qura'an kee tilawat ker raha phir bhi poocha kyuN?
Aur hur ibadat kee apni fazeelat hoti hai, jaisa keh meri samajh main nahee aata keh log kehtay 3 dafa Sura Ikhlaas paRho poora Quraan paRhnay ka sawab milay ga? kaisay?