subha se raat ki
main ne kitni baat ki
saara jahaan samjha hai
par tum nahin samjhe
kehti hai kya chaandni
khamoshi ki ye raagni
ye aasmaan samjha hai
par tum nahin samjhe
khushboo pehlaayi gali gali
kehti hai kya kali kali
dil ye zubaan samjha hai
par tum nahin samjhe