Nahin ke Milne Milaane kaa Silsilaa rakhnaa
Kisi bhi Satah pe koi to Raabtaa rakhnaa
Madad ki Tum se Tawaqqo to Khair kyaa hogi
Gariib-e-Shahar-e-Sitam huuN meraa pataa rakhnaa
Mareenge aur Hamaare Siwaa bhi Tum pe Bohat
Ye jurm hai to phir is Jurm ki Sazaa rakhnaa
Naye safar pe Ravaana hua hai Az-Sar-e-Nau
Jab aauuNgaa to meraa Naam bhi nayaa Rakhnaa
**Hisaar-e-Shauq uThaanaa ‘Rehan’ zaroor Magar
Kisi taraf se nikalne kaa Raastaa rakhnaa **