Nahii Dain gay !

dobara is tarha ka hadsa honay nahi dain gay
agar wo mil gaya is baar . tu khonay nahi dain gay

Bohat achi agti hay , honton par hansi us kay
Tu phir yea Eahed hay khud say, usay ronay nahi dain gay

Shaabay Visal ko jaanaa , yeaa hum nay sooch rakha hai
na sona khud hai or Tuj ko bee hum . Soonay nahii dain gay

(Aliyish)

Re: Nahii Dain gay !

Shaabay Visal ko jaanaa , yeaa hum nay sooch rakha hai

na sona khud hai or Tuj ko bee hum . Soonay nahii dain gay

O bhai! kiouN zulm kartaY ho iss tarah kissi kee maasoom jaan par
doob gaye khud, chen saY doojaY ko bhee jeenaY naheeN daiN gey

...
achaa aik baat bataao, itni Amriyat passandi? kiyaa Musharraf saY mutaa'ssir ho????

ghazal tau achi hai aur khiyaal bhee achaa hai laikin mujhay poori paRhni hai :)

Re: Nahii Dain gay !

pasand.deedgii ka shukriyaa :) lakin poori yahan likk kay mein nay bachay kharab nahii karnay hain !

Re: Nahii Dain gay !

awesome ..................
bohat pyaree ghazal hai:)

Re: Nahii Dain gay !

pehlay dono shair theek thy par teesray pay aa kay aap kuch behek gaey hain :D

Re: Nahii Dain gay !

bohat khoob

Re: Nahii Dain gay !

:cb:

Re: Nahii Dain gay !

judai ki aag main bohat jal chukay, ab hum
na khud jalain gay or tujh ko bhi hum jalnay nahii dain gay

tamasha bohat ban chuka hai is dewanay ka
ab loogon ko hum kudh par hasnay nahii dain gay

diya jala rakha hai barsoon say intezar ka
na bujha hai ye kabhi or issay bujhnay nahii dain gay

lakh koshish karay zamana ishq ko mitanay ki
kudh mit jain gay par issay mitnay nahii dain gay

loogon ki batoon say na hua karoo dukhee
yeah loog kisii ko khushee say jenay nahii dain gay

afsana bana rahay hain maree mayyat par aa kar wo
ab kya ye sukoon say mughay marnay bhi nahi dain gay

by fiza Atiq hope u guys like it........

Re: Nahii Dain gay !

great effort :k:

Re: Nahii Dain gay !

another nice ghazal. bohat khoob.

aap baki ghazal bhi post karein bachey pehley hi kharab hoa beithey hain :D

keep up the good work :)

Re: Nahii Dain gay !

Good :k:

Re: Nahii Dain gay !

Nice one:-)