urwah
1
chahoon bhi to khoya hua lamha nahi milta
dhoondoon bhi to maanoos, wo chehra nahi milta
yun toot ke bikhre hain mere khaab fiza main
bikhri hui is zaat ka zarra nahi milta
is tarah se ujray hain galli koochay yahan ke
lautay hain to is ghar ka bhi naqsha nahi mlta
aasaib ta’aqub main , muqabil main hai khaayi
halaat badal jaanay ka mazda nahi milta
jo dil se bar amad ho uter jaye jiger mian
is daur main wo shair, wo naghma nahi milta
khud hi to chunnay raste sehra ki tapish main
perwa nahi darya se jo qatra nahi milta
(written by: hameeda mueen rizwi, UK)
DEDIATED TO:
a brave soldier…an Air Force Officer
muddii
2
Re: nahi milta...........
chahoon bhi to khoya hua lamha nahi milta
dhoondoon bhi to manoos, wo chehra nahi milta
yun toot ke bikhre hain mere khaab fiza main
bikhri hui is zaat ka hissa zarra nahi milta
is tarah se ujray hain galli koochay yahan ke
lautay hain to is ghar ka humen naqsha nahi mlta
aasaib ta'aqub main , muqabil main hai khaayi
halaat badal jaanay ka mazda nahi milta
jo dil se baramad ho uter jaye jiger mian
is daur main wo shair, wo naghma nahi milta
lhud hi to chunnay raste sehra ki tapish main
perwa nahi darya se jo qatra nahi milta
(by: hameeda mueen rizwi, UK)
DEDIATED TO:
a brave soldier.....an Air Force Officer
Very nice choice........:)
urwah
3
Re: nahi milta...........
Very nice choice........:)
you are welcome and thanx :) for the appreciation
Re: nahi milta...........
khud hi to chunnay raste sehra ki tapish main
perwa nahi darya se jo qatra nahi milta
wow, great words...