**Naya ik rishta paida kyun karain hum?
Bicharna hai to jhagra kyun karain hum?
Khamoshi se ada ho rasm e doori.......
Koee hungama barpa kyun karain hum?
Yea kafi hai keh hum dushman nahi hain.
Wafadari ka daawa kyun karain hum?
Waafa , Ikhlas , Qurbani , Mohabat........
Ab in lafzon ka peecha kyun karain hum?
Humari hi tamanna kyun karo tum.........?
Tumhaari hi tamanna kyun karain hum?
Kia tha ehad jab lamhon mai hum ne...
To saari omer eefaa kyun karain hum?
Nahi duniya ko jab parwaa humaari.....
To phir duniya ki parwaa kyun karain hum?**