~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Ab key saawan meiN na barsay ga paani shayad
Aab-e-nainaaN meiN magar hogi rawani shayad
**
ChoR kai dharti pyaasi guzar gaye baadal
Nigaah meiN aayi thi meri bey samaani shayad
**
NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley
Suni hai usney bhi meri woh kahani shayad

Bilaa jawaaz hum ulajhtey rahey kaaNToN sey
Banaa dey koi wajah shaam suhaani shayad

Baghair sochey terey raastoN pey chal nikli
ToR key ah’d woh, thi qasam nibhaani shayad

*Koi sunta nahiN hum kisko sunayeiN aakhir *
*“Aarzoo” baat yeh hai apni poorani shayad
*
**by Dr. Raye Arzoo Shahzad **

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Boht khoob..:k:

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Achi ghazal hey...thanx for sharing with us :)

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

its very nice..!

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Thank you for liking HH, Amal and safeena :-)

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

buhat khoob…thanx for sharing :flower1:

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

KN very nice :k:
thanks for sharing
aur theak thaak ho na :slight_smile:

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

:k: Nice

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

very nice…:k:

thnx for sharing…!

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

bohat achay.

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Yeh abhi tak yahaN bhaTak rahi hai… :konfused:

Anyhow, thank you for liking Precious,** Umar**,** Ali**,** reet** and shoaib :slight_smile:

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

.

^ AQ khali post karnay ka riwaj kab say apnaya, yahan log reply kartay hi nahi aur jab karein wuh bhi khali:p

KN .. nice ghazal thanks for posting:-)

Re: ~* NaheeN khayaal key ab baad-e-saba taiz chaley *~

Khaali post bhi samajhney ki baat hoti hai... :-)

Thank you though Gul **and **Anwaar :-)