**Aankhoon say mairay is liyay laali naheen jaati
Yadoon say koi raat jo khaali naheen jaati
Ab umer,na mausam,na woh rastay k woh paltay
Is dil ki magar khaam khayali naheen jaati
Maangay to agar jaan bhi hans kar tujhay daydain
Teree to koi baat bhee taali naheen jaati
Aey koi aakar teray hee dard sambhalay
Hum say to yeh jaageer sambhali naheen jaati
Maaloom humain bhee hain teray buhat say qissay
Per baat teree hum say uchaalee naheen jaati
Humrah teray phool khilaati thee jo dil main
Ab shaam wahee dard say khaali naheen jaati
Hum jaan say jaingay tabhee baat banaygee
TUM say to koi raah nikali naheen jaati…:)**
nakhan
October 19, 2005, 11:16am
2
Re: "Naheen Jaati"
Maangay to agar jaan bhi hans kar tujhay daydain
Teree to koi baat bhee taali naheen jaati
Hum jaan say jaingay tabhee baat banaygee
TUM say to koi raah nikali naheen jaati...
Zabardast...!!!
nakhan
October 19, 2005, 11:20am
3
Re: "Naheen Jaati"
abhi kuch din pehlay yaheen parha tha aik shair
wo share karnay ka dil chah raha hay
Jo poochta hay koi, surukh kiyon hain aaj aankhain
Aankh mal kay kehta hoon, raat so na saka
Hazar chahoon magar ye na keh sakoon ga kabhi
Raat ronay ki khawahish thi magar roo na saka
:(
saroo
October 19, 2005, 11:57am
4
Re: "Naheen Jaati"
Bohat achhay bhai bihat achhay...........dono khanoon nay kamal kar dya bhai...........mehfil main phir aaa gaya hoon main aur arz kya hay
*jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii *
*dil magar is pe vo dharaka ke qayaamat kar dii *
*tujh se kis tarah main izhaar e tamannaa karataa *
*lafz suujhaa to maanii ne bagaavat kar dii *
*main to samajhaa thaa ki laut aate hain jaane vaale *
*tuune jaakar to judaai merii qismat kar dii *
*mujh ko dushman ke iraadon pe bhii pyaar aataa hai *
*terii ulfat ne muhabbat merii aadat kar dii *
*puuchh baithaa huunN main tujh se tere kuuche kaa pataa *
*terii haalat ne kaisii terii surat kar dii *
Re: "Naheen Jaati"
wow really beautiful PK dear :)
and "sara howa" really nice :)
Re: “Naheen Jaati”
Wah… Beautiful… Tnx Precious , nakhan n Saroo … These are Beautiful
Re: “Naheen Jaati”
thanx alot nakhan,saroo GS rora:)
zabardast nakhan,:k:
wah janab aao k kiya kahnay saroo ji :k:.
Re: "Naheen Jaati"
good lala both both both both he achey
Re: “Naheen Jaati”
thanx alot…lagta hay buhat dino k baad GS per aaen hain hain aap:)