NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

                 **salaam dosto

ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.

http://www.pegham.com/images/smilies/smile.gif

**

**
mere vaalid bhii Ghazal ke shaa’ir the aur unhoN ne ba-mushkil tamaam koi 8-10 nazmeN kahii hoNgii…musaddas aur rubaa’iyaat bhii kahii haiN magar kam kam…

…vaalid marHoom kii ek nazm ba-'unvaan-e-“naGhma-e-sabaa” pesh kartaa huN jis meN be-intihaa naGhmagii paaii jaatii hai aur jiskaa andaza-e-bayaan aur jiskii salaasat-e-zabaan apne 'urooj par hai.

to nazm mulaaHizah farmaaiye:

*agar aap meN se kisii ko mushkil alfaaz ke ma’anii darkaar hoN to bila-takalluf yahaN poochh sakte haiN…shukria *

**naGhma-e-sabaa

**
maiN azal se garm_rau huuN, nahiiN koii kaam meraa
yeh zamiiN hai SeHn merii to falak hai baam meraa
na sukuuN kahiiN hai mujhko na kahiiN qayaam meraa
kabhii chhoo sakaa hai daaman, na qafas, na daam meraa

bahot aaye koh o daryaa na rukaa Khiraam meraa

maiN chaman se apne chehre ko chhupaa chhupaa ke guzrii
kabhii chhoo gaii kalii ko, kabhii gudgudaa ke guzrii
mirii raah meN jo aayaa use maiN haNsaa ke guzrii
magar is taraH k daaman ko bachaa bachaa ke guzrii

mirii zindagii guzarnaa yehii subH o shaam meraa

kabhii kai’f DhoonDhtaa hai lab-e-joo-e-baar mujh se
kabhii zor maangtaa hai Gham-e-intizaar mujh se
kabhii rang kaa hai KhowaahaaN ruKh-e-laalah_zaar mujh se
kabhii maHv-e-iltijaa hai kaf-e-mai_gusaar mujh se

tag o dau yehii damaadam, na subuu na jaam meraa

mirii gard-e-ram se khilte haiN chaman meN laala o gul
mirii mauj-e-gulshan_aaraa hai balaa-e-jaan-e-bulbul
mirii Khoo se hai parishaaN dil-e-yasmeen o sumbul
kabhii ik tavaaf-e-pai’ham, kabhii mustaqil taGhaaful**
**
yeh sukuuN_sarisht maqsad safar-e-davaam meraa

maiN hazaar zulf-e-pur_Kham sar-e-ruKh uRaa ke laaii
mire dam se 'aashiqoN ko na milii kabhii rihaaii
kabhii is qabaa ko chheRaa, kabhii vo ridaa uRaaii
magar aaj tak kisii ne mirii gard tak na paaii

mujhe sab se ram hai kekin nahiiN koii raam meraa

maiN hazaar baar guzrii jam o kai kii anjuman se
na miTii yeh tashna_kaamii kisii baadah-e-kohan se
mujhe door door jaanaa hai abhii tire chaman se
na nikal 'uroos-e-naghat tu Hareem-e-yaasman se

k tujhe thakaa na Daale ram-e-be-maraam meraa

na kisii se aashnaa maiN, na hai koii meraa maHram
na kisii kii maiN ra’aiyat, na mujhe Khiraaj kaa Gham
sar-e-kai’f-e-baad o jam par miraa hil rahaa hai parcham
maiN tamaam kaaKh o aiwaaN se guzar rahii huuN pai’haam

mujhe Dar nahiiN k daaman koii le na thaam meraa

miraa Khoon-e-dil hai lab par jo taraanah le ke aayii
na bayaaN HaqeeqatoN kaa na fasaanah le ke aayii
mirii sa’ir kia yeh kahiye k bahaana le ke aayii
maiN vo teer huN k koii na nishaana le ke aaii

yehii Khoob hai k “Murshid!” na sune payaam meraa

http://www.pegham.com/images/smilies/smile.gif

**

Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

Bayshuk is nazam main salasat-e-zubaan apnay urooj per hay.. yeh nazam zindagi per likhi gayee hay na? :(

aakhri bund main 'Gasaanah' ka mutlub bata di jiyee bus :)

Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!


**shukria k aapko yeh nazam bhaaii...mujhe pataa hai k aapko nazam pasand hai is liye post kii...

vo kitaabat kii Ghalatii thii so maiN ne tasHeeH kar dii hai...asl lafz hai fasaana...sorry! ji haaN, sabaa ko zindagii tasavvur kijiye :D**

Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!

Aww KKF thanks.. apkay walid marhoom masha Allah buhat umdah likhtay thay.. nazam taveel zaroor hay magar bharpoor hay!

Re: NaGhma-e-sabaa...valid marHoom kii nazm...MUST READ!


**shukria...it means a lot to me...unka daur hii alag thaa...unke ustaad AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii the jo Jigar Muradabadii ke bhii ustaad the. mere gaaoN meN Abba ke ek aur dost the jo bahooot zabardast shaa'ir the magar in logoN ne apne mazhabii rujHaan kii vajah se shohrat ko kabhii tarjeeH nahiiN dii...Jigar Moradabadi, Firaq Gorakhpuri, AsGhar GonDvii, Sir Tej Bahadur sapru, Rashid Ahmad Siddiqui, Aal e Ahmad "suroor", Moin Ahsan "Jazbi" aur bhii na jaane kitne us daur ke sho'aaraa kaa saath thaa magar kabhii apne gaaoN se baahar mushaa'iroN meN nahiiN gaye.

maiN Abba ke dost, Tufail Ahmad Shamimi, kaa kalaam jald iA pesh karuuNgaa taa k aapko unkii shaa'irii kaa bhii andaazah ho :) shukria pasandeedgii ke liye :)**

Re: NaGhma-e-sabaa…valid marHoom kii nazm…MUST READ!

Amazing :clap: … zubaan apney joban aur fan apni dhun meiN kya magan chal rahey heiN. Simply awesome :k:

Re: NaGhma-e-sabaa…valid marHoom kii nazm…MUST READ!

Very Nice ..:k:

Re: NaGhma-e-sabaa…valid marHoom kii nazm…MUST READ!

is qadar faraaGh-dili se nazam kii pazeeraayii kii hai k dil Khush ho gayaa…aapkaa bahooot bahooooot shukria. :slight_smile:

Re: NaGhma-e-sabaa…valid marHoom kii nazm…MUST READ!

pasandeedgii ke liye aapkaa mamnoon o mutashakkir huN :smiley: