bahut arsa huaa, ek tarahii misra nazar se guzraa thaa: raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane vaalaa. yaad nahiiN ki misra kis kaa hai, lekin hai Khuub! maiN ne is tarah par kuch ash.aar kahe the lekin Ghazal mukammal nahiiN kar sakaa thaa. haal hii meN is naa.mukammal taKhleeq par nigaah paRii to sochaa ki ise takmeel tak puNhchaa duuN. to leejiye, Ghazal pesh hai, aap se izhaar-e-Khayaal kii guzaarish ke saath!
**Ghazal
naGhma-e-ishq hai jis saaz pe gaane vaalaa*
us meN ik sur bhii nahiiN, aah! sunaane vaalaa
tujh ko dekhaa hai to phir terii qasam, us ke baad
koii chahraa na milaa dil ko lubhaane vaalaa
dasht-e-ulfat ke musaafir! ye tujhe yaad rahe
ek tukRaa bhii nahiiN abr kaa chhaane vaalaa!
aah-o-giriyaa meN shareek aur miraa kaun hai ab
:raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane vaalaa:
hichkiyaaN maut kaa paiGhaam haiN, ai dil! yaa phir
yaad kartaa hai mujhe koii bhulaane vaalaa!?
is tarah manzil-e-maqsood kahaaN miltii hai
ham.safar hai na koii raah dikhaane vaalaa
kabhii us kaa bhii nasheman thaa isii gulshan meN
kis tarah bhuul gayaa aag lagaane vaalaa?
tab tak insaan yahaaN: paak: nahiiN ho saktaa
jab tak apnaaye na har aib zamaane vaalaa!
ek tuufaan zaruurii hai ab is aalam meN
nau-e-insaan ko Ghaflat se jagaane vaalaa
yaa to naadaan hai yaa saahib-e-hikmat :Waseem:
shahr-e-pur.aish kii tasveer banaane vaalaa !!!
Waah Waseem… Hameshaa ki tarah bahut khoob! I think I’m becoming a fan of you… Jab kabhi koi kitaab publish karney ka socha to publish karney sey pehley zaroor batayiye ga… I will be the first one to get it
Once again… Bey-hadd achi ghazal kahi hai aapney! Two thumbs up!
**GuL-e-Tasbeeh **aap ne merii Koshish pasand farmaayii, ye jaan kar Khushii huii. navaazish kaa shukriya!
AMAL Bhai *Ghazal kii pazeeraaii kaa bahut bahut shukriya!
*
Golden Bhai inshAllah vaqt milte hii kuchh arz karuuNgaa .aap kii daad se behad Khushii huii. shukriya! aap ne ek muddat se kuchh nahiiN sunaayaa. ye Khaamoshii kab TuuTegii? :)
Hum Jiss Field maiN haiN wo baRi Stpid hay… Uska Shairi se Koi Rishta hi naheN … Tou Jab kaam Zyada hota hay tou… Dil & Dimaagh donooN Shairi Jesi Lateef cheez ke liye Amada naheeN hotay… Koshish karonga ke Kuch na Kuch Nazil ho hi jaye…