Aik buhat hi maroof sha’ier, aik mushaieray main shirkat kay baad bahar niklay. JootooN ka aik dhair laga hua thaa - woo baycharay kafi dair tak jootay ulat pulat kartay rahay laikin joota na milla.
Unn kay aik doost jo un kay saath thay, unhooN nay farmayaa…
“Azeezam - Aap joota talash kar rahay hain ya joota pasand kar rahay hain”
mujhay maloom hay yeh lateefa daikh kar aksariyaat yehi kahay gi kitna boring lateefa hay - balkay siray say lateefa hi nahi hay.
Laikin kabhi kabhi moun ka maza badalnay kay liyaay kuch nafees cheezain bhi paRhni chahiyaiN. Main nay bhi kal yeh Khawateen Digest main PaRha tha.
Irshad, Irshad! Buhat hee khoobsurati kay saath aapnay alfaazon ka intikhaab kiya, aur jooton ki dukaan sey bahir niklay.
Ab hamari baari. :D
Bibi unhon nay horoscope ka safhaa khoola hua tha, ghalti sey akhbaar kay editor nay us safhay mein horoscope kay bajaye lateefa chaap diya. Ab aapko aapka is haftay ka horoscope lateefon kay safhay mein milay gaa. :D