ye hum ne dekha tha khwaab pyaaray
nadi kinaaray
zamee’n pay utray thay do sitaaray
nadi kinaaray
najaanay guzray hein kitnay saawan is aarzu mein
kabi to koi hamein pukaaray
nadi kinaaray
utar k mehtaab ban gia aeena kisi ka
kisi ne baal apnay youn sanwaaray
nadi kinaaray
tumhein na dekha to raa’egan raa’egan lagay hein
sharaab, shabnam, shafaq, sharaaray
nadi kinaaray
ye ghar ki tanhaaiyan to MOHSIN sada rahein gi
chalo sahar ki hawa pukaaray
nadi kinaaray