Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala
Daikho tum bhi janay do ab
Nadani ka jitna rasta tum nay ab tk tay ker dala Us rastay say gher ki manzil Ab bhi itni dour nahiN hai Ab bhi vapis ja sakti ho, sab kuch vapis pa sakti ho Ab bhi ger tum nadani k is rastay say Gher na palteeN To phir ek din aisa ho ga Sunder aankhaiN mar jaiN gi PalkaiN khoon say bhar jaiN gi JaaN labooN per aa jaay gi Tan k saray ujlaypan ko ghoor musafat kha jaay gi Us din phir tum chilaoogi lakin kuch na hasil ho ga Saray lams k bhookay sathi pankh laga k urr jaiN gay Tum rastay maiN reh jaoo gi Jis k peechay dar ki gehri daldal ho gi, aagay ghum ka jungle ho ga Ser pay gehra badal ho ga Us din k aanay say pehlay, us din tk janay say pehlay Waqt milay to dhalnay walay her lamhay ki zaat pay sochoo Dunia ki bareek nazer say duniya ki her baat ko soocho JazbooN ki ooqat hi kia hai, jazbooN ki ooqat ko soocho Wo daikhoo sa'ay per phir weeranay maiN bijli karki Gheri gehri aankhooN wali, uljhi uljhi pagal larki
Very expressive choice.........nice thoughts...........thank u for shairing Sheal:)