Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

Daikho tum bhi janay do ab
Nadani ka jitna rasta tum nay ab tk tay ker dala
Us rastay say gher ki manzil
Ab bhi itni dour nahiN hai
Ab bhi vapis ja sakti ho, sab kuch vapis pa sakti ho
Ab bhi ger tum nadani k is rastay say
Gher na palteeN
To phir ek din aisa ho ga
Sunder aankhaiN mar jaiN gi
PalkaiN khoon say bhar jaiN gi
JaaN labooN per aa jaay gi
Tan k saray ujlaypan ko ghoor musafat kha jaay gi
Us din phir tum chilaoogi lakin kuch na hasil ho ga
Saray lams k bhookay sathi pankh laga k urr jaiN gay
Tum rastay maiN reh jaoo gi
Jis k peechay dar ki gehri daldal ho gi, aagay ghum ka jungle ho ga
Ser pay gehra badal ho ga
Us din k aanay say pehlay, us din tk janay say pehlay
Waqt milay to dhalnay walay her lamhay ki zaat pay sochoo
Dunia ki bareek nazer say duniya ki her baat ko soocho
JazbooN ki ooqat hi kia hai, jazbooN ki ooqat ko soocho
Wo daikhoo sa’ay per phir weeranay maiN bijli karki
Gheri gehri aankhooN wali, uljhi uljhi pagal larki

2 Likes

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

very nice g

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

Waqt milay to dhalnay walay her lamhay ki zaat pay sochoo
Dunia ki bareek nazer say duniya ki her baat ko soocho
JazbooN ki ooqat hi kia hai, jazbooN ki ooqat ko soocho

cool sharing sheal!!!!!........

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

It’s Beautiful Sheal..:lajawab:

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

Gud1 Sheal :)

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

beautiful..

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala

hmm Nice..

Re: Nadani Ka Jitna Rasta Tum Nay Ab Tk Tay Ker Dala


Very expressive choice.........nice thoughts...........thank u for shairing Sheal:)