Naat Rasool-e-Maqbool SAWW

3910.D_JAD-20030515-230441

kab talak muntazir ham rahain ya Nabi
Apna jalwa-e-Athar dikha deejiay
kab talak muntazir ham rahain ya Nabi
Apna jalwa-e-Athar dikha deejiay

Ham Faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Pias Qalb-O-Nazar ki bhuja deejiay
Ham Faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Pias Qalb-O-Nazar ki bhuja deejiay

Aap zeenat azal ki hain khair-ul-wara
Aap ronaq abad ki hain Sall-e-Ala
Aap khair ul bashar wajh-e-kon-o-makaan
Paar bera hamara laga deejiay

Arsh walay bhi hain teray sana khuwan hain
Aur Malaik teray darr kay darbaan hain
Teray darbaar-e-Aali ki kiaa shaan
Apnay qadmon main ham ko bula leejiay
Apnay qadmon main ham ko bula leejiay

Ranj-o-alaam say kardo ham ko bari
khushk hay dil ki khaiti yeh kardo hari
Tashnagi baykali teergi ya Nabi
Rah guzaraon say dil ki hata deejiay
Rah guzaraon say dil ki hata deejiay

Bay amal ham sarapa gunah gaar hain
Ranjishon mushkilon main giraftaar hain
Ham karam kay tumhaaray talab gaar hain
Aah-o-girya say ham ko jila deejiay
Aah-o-girya say ham ko jila deejiay

Sab say oncha hay rutbon main rutba tera
Choomtay hain hain malaik bhi ROZA teraa
Chahatain dil main hain sar main soda tera tera
Darr pay ishrat ko bula leeejeay
Darr pay ishrat ko bula leeejeay

kab talak muntazir ham rahain ya Nabi
Apna jalwa-e-Athar dikha deejiay
kab talak muntazir ham rahain ya Nabi
Apna jalwa-e-Athar dikha deejiay

Ham Faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Pias Qalb-O-Nazar ki bhuja deejiay
Ham Faqeeron ki Ya Ahmad-e-Mujtaba
Pias Qalb-O-Nazar ki bhuja deejiay

(Aamin summa aamin :teary3: )

subhan Allah

thanks for sharing :-)

Masha-Allah, Thank you ATA

ohhh I luv this …she always recites such good naats and her vioce is :love:

can anybody tell me like her name? :bummer:

subhan allah thanx for sharing

:k:
isse sun kar roonte kharre ho jaate haye.

Subhan Allah.

:k:

:k: thanks really

My most fav…Naat :flower1:

It always brought me…
:teary3:

Umm-e-Habeeba :slight_smile:
Thank you every one else :flower1:

bump

Eid Milad un Nabi [saw] mubarak to all guppies :flower1: