Naat-e-nabwi

aaj her jaga eid milaad un nabi ki khushi manaii jaa rahi hai hamein bhi chahiye khcuh nabi ki yaad mein khuch naatein likh di jaayein :slight_smile:

banai Khuda ney sohni surat Mohammad ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki
Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki
Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki

Please share your favorite naats

Re: Naat-e-nabwi

Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai
Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Wafa Tum Na Dekho Gay Hargiz Kisi Main
Zamana Wo Aisa Qareeb Aa Raha Hai
Hifaazat Karo Apnay Iman-o-Deen Ki
Zamana Wo Aisa Ajeeb Aaa Raha Hai
Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Tumhain Kuch Khabar Hai Kahan Ja Raha Hun
Rasool-e-Khuda Hain Wahan Ja Raha Hoon
Tumhain Kuch Khabar Hai Main Kya Pa Raha Hun
Mohabbat Ka Unki Maza Pa Raha Hoon
Chalo Ja Kay Rehna Madinay Main Ab Toh
Qiyamat Ka Manzar Qareeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Nigahon Main Sultaniyat Heech Ho Ge
Jo Paye Ga Dil Main Payam-e-Madina
Sukoon-e-Jahan Tum Kahan Dhonndtay Ho
Sukoon-e-Jahan Hai Nizam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Madina, Madina,Madina,Madina
Bara Lutf Deta Hai Naam-e-Madina
Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai
Mohammad Ka Roza Qareeb Aa Raha Hai
Bulandi Pay Apna Naseeb Aa Raha Hai
Farishto Yeh Day Do Paigham Unko
Khabar Ja Kay Day Do Unko Farishto
Kay Khadim Tumhara Saeed Aa Raha Hai

Re: Naat-e-nabwi

**Meri buhat pasandeeda Naa't

Udassi Kay Safar Main Jub Hawa Ruk Ruk Kay Chalti Hay
Sawad-e-Hijr Main Har Aarzo Chup Chap Jalti Hay
Kisi Nadeeda Gham Ka Kuhr Main Lipta Huwa Saya

                                Zameen Ta AasmaaN Phaila Huwa Mehsoos Huta Hay
                                Guzarta Waqt Bhee Tehra Huwa Mehsoos Huta Hay

Tu Aisay Main Teri Khushboo,
Mohammad (PBUH) Mustafa, Sallay Alla Kay Naam Ki Khusboo
Dil-e-Wehshat Zada Kay Hath Par Yoon Hath Rakhti Hay

                                Thakkan Ka Koh-e-Gham Hut'ta Huwa Mehsoos Huta Hay
                                Safar Ka Rasta Kut'ta Huwa Mehsoos Huta Hay!!!

**

Re: Naat-e-nabwi

Very nice Farra thanks for sharing :)

Re: Naat-e-nabwi

*Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai, Teri Rah May Akhiya Bichate
Teri Hasrato May Teri Chahato May, Bade Din Hue Ghar Sajate Sajate.

Mera Ye Hai Iman Mera Ye Yaqeen Hai, Mere Mustafa Sa Na Ko Haseen(N)
Rukh Unka Jab Se Qamar Ne, Nikalta Hai Mooh Chupate Chupate.

Qayamat Ka Manzar Bada Purkhatar, Magar Mustafa Ko Diwana Hoga
Woh Pool Se Guzar Jayega Wajda Karte, Naara Nabi Ka Lagate Lagate.

Mere Lab Pe Maula Na Koi Sada Hai, Faqat Muj Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Mere Sans Nikle Dar-e-Mustafa Pe, Game-e-Dil Nabi Ko Sunate Sunate.

Ye Maana Ke Ek Din Qaza Hai, Magar Dosto Tumse Ye Iltija Hai
Sehre-e-Muhammad Har Ek Gali Se Janaza Oothana Ghumate Ghumate.*

Re: Naat-e-nabwi

                        *suna he aap har aashiq k ghar tashrif late he.....

mere ghar me bhi ho jae charaga ya rasulallah.....

mere aaqa aao k muddat hui he.....**
teri rah me ankhiyan bichhate bichhate....
aqa teri hasrato me teri chahato me....
bade din hue ghar sajate sajate.....

mera ye he imaan ye mera yakin he....**
mere mustafa sa na koi hasi he....
ki rukh unka dekha he jab se qamar ne....
nikalta he muh ko chhupate chhupate.....

ye dil jab se ishqe nabi me pada he....**
na din ki khabar he na shab ka pata he.....
aaqa ab to basharat bhi kam ho gai he....
tere gam me aansu bahate bahate....

mere lab pe maula na koi sada he....**
fakat es nikamme ki yehi dua he....
ke meri saans nikle dare mustafa pe....
game dil nabi ko sunate sunate....

qayamat ka manzar bada purkhatar he....**
magar mustafa ka jo diwana hoga....
wo pul se guzar jaega wajd karte....
nara nabi ka lagate lagate.....

mere aaqa aao k muddat hui he.....**
teri rah me ankhiyan bichhate bichhate....
aqa teri hasrato me teri chahato me....
bade din hue ghar sajate sajate.....*

Re: Naat-e-nabwi

Nice ones IS :)

Re: Naat-e-nabwi

:jazak:

Re: Naat-e-nabwi

Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door say
Raaste mein agar paon thak jayengay.
Hum Madinay mein tanha nikal jayengey,
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey.
Hum wahan jakey wapas nahin ayengay.
Dhoondtay dhoondte loog thak jayengey.
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega,
Bandagi ka kareena badal jaye ga.
Sar jhukane ki fursat milay gi kisey.
Khud hi palkon say sajdey tapak jayengey.
Naam e Aaka jahan bhi liya jayega,
Zikr unka jahan bhi kiya jayega.
Noor hi noor seeno mein bhar jayega,
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey.
Aie Madinay kay zahir KHuda ke liye,
Dastaan e safar mujko yoon mat suna.
Baat bhar jayegi dil tarap jayega,
Meray mohtat ansoo chalak jayegay.
Unki chashme karam ko hai iski khabar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar.
Humko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaqa kay darbar tak jayegeney.
Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey .

Re: Naat-e-nabwi

Here is the video

Re: Naat-e-nabwi

My personal favorite Zahe muqqaddar

Re: Naat-e-nabwi

Ilove love this … beautiful sharing guy :slight_smile:

Re: Naat-e-nabwi

one of my fav shabo every moring me listen aik auR hai Amjad sabri ki jis ne madeenay jana kaR lo taraiaN ap wo post kaRen me @ work kaR nahi sakti :slight_smile: btw kahaN paa’e jati no ph :frowning: no talk :frowning:

Re: Naat-e-nabwi

http://a5.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-snc6/182449_10150089746114332_635919331_6266435_2893290_n.jpg

Re: Naat-e-nabwi

ye wali koyal?

Re: Naat-e-nabwi

I remember this sher may be if some one can correct me

husn-e-yusuf,damm-e-issa, yad-e-baizaa daari
aanchaan khubaa hammah darang to tanhaa daari