![]()
LAU LAAK LAMA-2
Meri majaal! keh mein tujh ko Aasmaan kahooN?
Keh aasmaan-e-khameeda kamar ki lauh-e-jabeeN
Terey Huzur, terey AastaaN pe khaak nasheeN
Keh aasmaan ka neelaab ek faraib-e-nazar
Terey muheet-e-nabuwwat se aabroo-e-bashar
Keh aasmaan ke anjum baraaye naqsh-o-nigaar
Terey Sahaab (RA) reh-e-haq mein noor ke minaar
Keh aasmaan ka itlass kehkashaaN amaiz
Terey jamal ka har dayera falak angez
Keh aasmaaN ka peyaala nagooN hai, khali hai
Teri nigah-e-jila bakhsh ka sawali hai
Tu aasmaan nahi, aasmaan nawaz hai tu
Nazar nawaz hai tu, roshni taraz hai tu
**Meri majaal! Keh mein tujh ko aasmaan kahooN?
By: Dr. Rahat Alam<o></o>**