Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

**Naam uska jab shareek-e-ghum na tha
Bekhudee ka is tarah aalam na tha

Tod kar dil muskurata kyon hai wo
Dard to pahle bhi itna kam na tha

Ab rakeebon se hai uski dosti
Pahle to wo is kadar barham na tha

Roz milne ki kasam, phir bhoolna
Rukh pe apne wo kabhi kaayam na tha

Uske ghum mein apni hasti ko mita doon
Ya ilaahi mujh me itna dum na tha

Wo sitam karta hai to karta rahe
Kaise kah doon wo mera humdum na tha
**

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

ye tou insani fitrat ho gaye hai ab :hinna:

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

Shooooo sad :(

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

^ Itna udaas na hon

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

Bohat Khoob…:k:

**Wo sitam karta hai to karta rahe
Kaise kah doon wo mera humdum na tha **

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

bohat aala :k:

Re: Naam uska jab shareek-e-ghum na tha

**Ab rakeebon se hai uski dosti
Pahle to wo is kadar barham na tha

:k:
**