Kabhi kabhi naak kaa baRa maslaa ho jataa hai… koie Naak par makhi naheeN baiThnay daitaa tau koie baat baat par naak bhooN chaarhaana apna farz-e-awwaleen samajhtaa hai aur tau aur kissi kee naak itni lambi hoti hai kay **ghussa tau uss kee naak par **har waqt iss tarah rehtaa hai kay kissi kee naak rakhnay kaa bhee sawaal naheeN paidaa hotaa… aisay logouN kee naak itni chaRRhi honay kay bawajood loug inhaiN naakouN channay chabwaa daitay haiN phir woh har aik kay saamnay **naak ragaRtay **nazar aatay haiN aur saath hee saath naak say lakeeraiN khainchtay haiN yeh apnay hee jaisay logouN kee naak kaa baal hotay haiN;) issi liye naak kee seedh maiN kabhi naheen chal paatay aur kabhi naa kabhi inn kee naak zaroor kuTT jaati hai challo jee aap logouN kay **naak maiN dumm **tau aa gayaa hogaa laikin agar aap itnay hee naak waalay haiN tau mundarjaa zail fehrist maiN jo naak kee aqsaam maiN bhool gayaa hooN, woh likhwayeN, aur iss **Naak kay mas’laY **ko ha’L karaiN, Shaabash:
Kabhi kabhi naak kaa baRa maslaa ho jataa hai... koie Naak par makhi naheeN baiThnay daitaa tau koie baat baat par naak bhooN chaarhaana apna farz-e-awwaleen samajhtaa hai aur tau aur kissi kee naak itni lambi hoti hai kay ghussa tau uss kee naak par **har waqt iss tarah rehtaa hai kay kissi kee **naak rakhnay kaa bhee sawaal naheeN paidaa hotaa... aisay logouN kee naak itni chaRRhi honay kay bawajood loug inhaiN naakouN channay chabwaa daitay haiN phir woh har aik kay saamnay naak ragaRtay **nazar aatay haiN aur saath hee saath **naak say lakeeraiN khainchtay haiN yeh apnay hee jaisay logouN kee naak kaa baal hotay haiN;) issi liye naak kee seedh maiN kabhi naheen chal paatay aur kabhi naa kabhi inn kee naak zaroor kuTT jaati hai challo jee aap logouN kay naak maiN dumm **tau aa gayaa hogaa laikin agar aap itnay hee **naak waalay haiN tau mundarjaa zail fehrist maiN jo naak kee aqsaam maiN bhool gayaa hooN, woh likhwayeN, aur iss **Naak kay mas'laY **ko ha'L karaiN, Shaabash:
khof naak
ghumm naak
khatar naak
alam naak
ghazab naak
sharam naak
aap ki koi eskimo girl friend hai jo aaj kal naak ki baat kar rahay hain?
**AQ **apni us GF ko naak kay fawaid bata kar ussay aik adad naak lagwaanay ar aamada karna chahtay hain, takay muashray main AQ bhi naak oonchi kar k chall sakain!
Kabhi kabhi naak kaa baRa maslaa ho jataa hai... koie Naak par makhi naheeN baiThnay daitaa tau koie baat baat par naak bhooN chaarhaana apna farz-e-awwaleen samajhtaa hai aur tau aur kissi ...........
Aap key maloonaak bohat qiamatnaak hain , aap ka thread parh kay may ree ankheen numnaak hogain.