Aksar kuch aisa hota hay k kisee aur ki kahi huee koi baat aap-beeti maaloom parti hay; Mohtarma Adaa Jaffri ki ye nazam "Paish Lafz’’ bhee kuch aisa hee asar rakhtee hay.
Wo kum-umree thee
Naadaani k din thay
K main nay waqt k sahir se
poocha thaa pata upna
Aur us jaado k lamhay nay
Na'jaanay kia kaha mujh se
Na'jaanay kia suna main ne
K main ub tuk safar main hoon