Na yaqeen wajood pey karh ker, na riday yaas main aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga
Mujhey raygaan na talash ker, main safar mean tha, main safar mean hoon
Kabhi noor-e-harf ki raah sey diley khudshanas main aaon ga
To hey ajnabi meari zaat sey kabhi pooch kerb ki raat sey
Main nehaan hoon maoj-e-farat sey,main nazar to piyas main aaon ga
Mujhey doosron sey talab na ker mujhey khud sey mang key deakhna
Main barang-e-aksey gohar numa kaf-e-iltamas main aaon ga
<O:p</O:p
Meari justjoo ney jo dam lia, mearey bekaraan ney kaha mujhey<O:p</O:p
Keh main agahi sey hoon mawara na had-e-hawaas main aaon ga
***Mujhey ab too shaok sey bhool ja, yahi naz kam to nahean keh main ***
Teari chahton ki kitab key kisi iqtabas main aaon ga
<O:p
Kabhi mujh ko MOHSIN naiy dinon ki tapash mean dhonday ga wo kahean
Kabhi yad us ko gay dinon key safar ki bas main aaon ga
Re: Na yaqeen wajood pey karh ker na riday yaas mean aaon ga
Awesome 
Re: Na yaqeen wajood pey karh ker na riday yaas mean aaon ga
very nice :k:
Re: Na yaqeen wajood pey karh ker na riday yaas mean aaon ga
thanks :)