Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho

Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ki Jo Meray Jaisa Ho

Meray Khaluos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay

Woh Koi Bhi Ho,Kahin Bhi Ho,Kaisa Bhi Ho

Jo Khuwab Denay Ko Qadir Ho Meri Aankhoon Ko

Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho

Meri Khatir Marney Ka Hosla Bhi Rakhta Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To

Muskra Kay Manayee, Woh Aisa Ho

Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sakey

Iradon Mein Woh Apney Chahtaoon Jaisa Ho

Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho

Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ke Tarha Gehrah Ho

Us Kay Pyar Ke Thandak Ho Meray Liyae Aise
Key Woh To Bilkul Aasman Kay Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaoon Main Haya Rakhta
Ho

Umar Bhar Sath Chalay Woh Aisa Hooo…!!!
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Hooo…!

Re: Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho

Hmmm…desire to achi hey :k: :slight_smile: