Na wo Ghaznavi main tadap rahi, Na wo kham hai zulf e Ayaz main

kabhi AE haqeeqat e muntazir nazar AA libas e mijaz main
keh hazaron sajday tarap rahay hain meri jabeen e niyaz main

tarb Aashanye kharosh ho, to nawa hay mahram e gosh ho
wo suror kya keh chupa howa ho sukoot parda e saaz main

tu ba-cha ba-cha kay na rakh issay, tera aina hay wo aina
keh shakista ho to aziz ter hay nigah e aina saaz main

dam e tauf e karmak shama nay yeh kaha keh wo asarkahan
nah teree hikayat e soaz main, nah meri hadees e gudaz main

nah kahin jahan main aman mili, jo aman mili to kahan mili
meray jurm e khana e kharab ko teray afowo banda nawaz main

nah wo ishq main rahin garmiyan, na wo husun main rahin shokhyan
nah wo ghaznawee main tarap rahi, nah wo kham hay zulf e ayaz main

jo main sir ba sajda howa kabhi, to zami.n say aanay lagi sada
tera dil to hay sanam aashna, tujhay kay milayga ga namaz main


Restored attachments:

Re: Na wo Ghaznavi main tadap rahi, Na wo kham hai zulf e Ayaz main

:hinna:

Re: Na wo Ghaznavi main tadap rahi, Na wo kham hai zulf e Ayaz main

**bahot Khoob GHazal marHamat farmaayii hai aapne Muqawwee saaHib. shukria.

isii Ghazal ko Dharmendra-Nutan starer film “Dulhan Ek Raat Kii” meN musta’mil kiyaa thaa…nazar-nawaaz kijiiye :slight_smile:
**

Re: Na wo Ghaznavi main tadap rahi, Na wo kham hai zulf e Ayaz main

Yes KKF I also knew that Lata Ji did a wonderful job with this ghazal.

Re: Na wo Ghaznavi main tadap rahi, Na wo kham hai zulf e Ayaz main

one of my all time fav :k: