na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa.....merii ek Ghazal

**salaam

maiN apnii yeh Ghazal aap logoN ke saamne pesh karne kii jasaarat is ummeed ke saath kar rahaa huuN k shaayad aap kii taba’-e-naazuk par baar e giraaN na guzre aur apnii besh bahaa aaraa se zaroor navaazeNge…shukria. to Ghazal Haazir e Khidmat hai, mulaaHizah farmaaiye:

faqat Khaak nashiiN,
_______KKF
**

**1.
Hayaa aayii, adaa aayii, Ghuroor aayaa, Hijaab aayaa
hazaaroN aafateN le kar HaseenoN kaa shabaab aayaa

laRakpan kaa jahaaN badlaa, qayaamat kaa shabaab aayaa
kisii kii kamsinii meN ek rangiiN inqilaab aayaa

baland o past ho kar jab zavaal-e-aaftaab aayaa
to ban kar noor kii tanveer meraa maahtaab aayaa

vo paas aaye to aaNkheN uThaane kaa na taab aayaa
rahe jab door to ham par judaaii kaa 'azaab aayaa

nigaaheN neechii neechii aur tabassum halkaa halkaa saa
k jaise kamsinii par kheltaa uThtaa shabaab aayaa

tirii zulfoN kaa kuchh is andaaz se ruKhsaar par girnaa
ghaTaa ghanghor aayii, roo e 'aalam par saHaab aayaa

shabaab un par bahaar-e-zindagii laayaa, magar ham par
balaa aayii, sitam aayaa, jafaa aayii, 'etaab aayaa!!!

sitam iijaadiyoN se jis ne looTii zindagii apnii
sar e maHshar vohii phir saamne Khaana Kharaab aayaa

baRii mushkil se jab vo saamne aaye, to yaa Allah!
Hijaab-e-deed ban kar ham pe dil kaa iztiraab aayaa

huaa aHsaas hamko umr bhar kii apnii 'asyaaN kaa
farishta Hashr meN jab saamne le kar Hisaab aayaa

qasam khaaii thii ham ne baadah_Khowaarii se , magar tauba!
na saabit rah sakii jab saamne jaam e sharaab aayaa

Khudaa jaane farishtoN ne qalam kiuN rok lii apnii
kitaab e zindagii meN jab merii KhushiyoN kaa baab aayaa

azal se karte aaye haiN gunaahoN ko magar , yaa Rab!
tire raHm o karam kaa aaj tak kisko Hisaab aayaa

na lauTaa namah_bar aur hichkiyaaN lene lagii jaaN jab
ajal kii shakl meN aaKhir mire Khat kaa jawaab aayaa

15
jalaane waale! tu apnaa nateeja soch le, har dam
bujhaa kartii hai shamm’a jab ufaq par aaftaab aayaa

shab-e-furqat kii ghaRiyaaN yuN kaTii mushkil se, “SaiHbaa JI!”
na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa
**

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

**huaa aHsaas hamko umr bhar kii apnii 'asyaaN kaa
farishta Hashr meN jab saamne le kar Hisaab aayaa

:lajawab:

boht khoob jasaarat hai
**

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa.....merii ek Ghazal

waise ye Saihba ji kon hai?

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

Oye hoye hoye hoye hoyeee… baiee wahh kamaal ker diya Bhai Saab… :clap: :lajawab: :k:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

shukria janaab…bas, aaqibat andeshii Ghaalib aa gaii.

ji, meraa taKhallus hai…kabhii “Sai’hbaa” to Kabhii “Sai’hbaa Jii”…:smiley:

shukria bhaiye, bas kabhii kabhii sharaartii Khayaalaat aa jaate haiN to Ghazal ho jaatii hai! :smiley:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

Bohat Umdah…KKF Bro :k:

**Khudaa jaane farishtoN ne qalam kiuN rok lii apnii
kitaab e zindagii meN jab merii KhushiyoN kaa baab aayaa

azal se karte aaye haiN gunaahoN ko magar , yaa Rab!
tire raHm o karam kaa aaj tak kisko Hisaab aayaa**

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

I knew You have got talent and a vast vocabulary… and now I saw you using them in a right way… Hands Up for you \O/ :clap:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

:eek:

Ye kaam bhi krty hyn…?:hayaa:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal

thank you dost like karne ke liye! :slight_smile:

bas aapkii du’aa hai k do chaar lafz se ham bhii shinaasaaN haiN…shukria pazeeraaii kaa bahot bahot! :slight_smile:

mujhe, dunyaa waalo, sharaabii na samjho
maiN peetaa nahiiN huN, pilaaii gaii hai!
:stuck_out_tongue:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa.....merii ek Ghazal

Nice ghazal :)...... lakin akhri line (**na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa) **padh kar to loadshedding ka khayal aa gaya.

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa.....merii ek Ghazal

boht umdah hashmat bhai.. ye auzaan ki durustgi, rawaani aur khush bayani to asaatza ka khassa hay.. apnay kuch mazeed kalaam say bhi nawaziay na..