na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!

salaam dosto
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge!

maiN aaj aapkii is haseen maHfil-e-she’r o suKhan meN apnii yeh Ghazal aap logoN ke saamne pesh karne kii jasaarat is ummeed-e-qawii ke saath kar rahaa huuN k shaayad aap kii taba’-e-naazuk par baar e giraaN na guzre aur neez-bar-aaN yeh k aap apnii besh bahaa aaraa se zaroor navaazeNge…shukria. to Ghazal Haazir e Khidmat hai, mulaaHizah farmaaiye:

faqat Khaak nashiiN,

KKF**

**1.
Hayaa aayii, adaa aayii, Ghuroor aayaa, Hijaab aayaa
hazaaroN aafateN le kar HaseenoN kaa shabaab aayaa

laRakpan kaa jahaaN badlaa, qayaamat kaa shabaab aayaa
kisii kii kam_sinii meN ek rangiiN inqilaab aayaa

baland o past ho kar jab zavaal-e-aaftaab aayaa
to ban kar noor kii tanveer meraa maahtaab aayaa

vo aaye paas to aaNkheN uThaane kaa na taab aayaa
rahe jab door to ham par judaaii kaa 'azaab aayaa

nigaaheN neechii neechii aur tabassum halkaa halkaa saa
k jaise kam_sinii par kheltaa uThtaa shabaab aayaa

tirii zulfoN kaa kuchh is andaaz se ruKhsaar par girnaa
ghaTaa ghanghor aayii, roo e 'aalam par saHaab aayaa

shabaab un par bahaar-e-zindagii laayaa, aur ham par
balaa aayii, sitam aayaa, jafaa aayii, 'etaab aayaa!!!

sitam iijaadiyoN se jis ne looTii zindagii apnii
sar e maHshar vohii phir saamne Khaana Kharaab aayaa

baRii mushkil se jab vo saamne aaye, to yaa Allah!
Hijaab-e-deed ban kar ham pe dil kaa iztiraab aayaa

huaa aHsaas hamko umr bhar ke apnii 'asyaaN kaa
farishta Hashr meN jab saamne le kar Hisaab aayaa

qasam khaaii thii ham ne baadah_Khowaarii se , magar tauba!
na saabit rah sakii jab saamne jaam e sharaab aayaa

Khudaa jaane farishtoN ne qalam kiuN rok lii apnii
kitaab e zindagii meN jab merii KhushiyoN kaa baab aayaa

azal se karte aaye haiN gunaahoN ko magar , yaa Rab!
tire raHm o karam kaa aaj tak kisko Hisaab aayaa

na lauTaa namabar aur hichkiyaaN lene lagii jaaN jab
ajal kii shakl meN aaKhir mire Khat kaa jawaab aayaa

15
jalaane waale! tu apnaa nateeja soch le, har dam
bujhaa kartii hai shamm’a jab ufaq par aaftaab aayaa

shab-e-furqat kii ghaRiyaaN yuN kaTii mushkil se, "SaiHbaa JI!"
na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa****

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

****laRakpan kaa jahaaN badlaa, qayaamat kaa shabaab aayaa
kisii kii kam_sinii meN ek rangiiN inqilaab aayaa

:hmmm: Nice inquilab.. sonami to nahin aya?


Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!

thank you, janaab! :) inqilaab to inqilaab hii hotaa hai chaahe vo siyaasii ho yaa hai'yaatii [jismaanii] ho! :)

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

neend ki goli kha lain phir :crying:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

inko ispaghol tajweez karden doctor sahiba

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

kaun khilaayegii? hai koii volunteer? :smiley: ham Khud se khaa lete, magar baQaul-e-Ghaalib:
**
'ishq ne, “Ghalib!”, nikamma kar diyaa
varnaa, ham bhii the aadmii kaam ke!** :slight_smile:

aaj kal kanjoosoN kaa daur hai…aspaGhol bhale na deN ek ASP hii de deN taa k maiN us pe baiTh ke ‘UN’ ke kooche tak hii jaa sakuuN! :smiley:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

nai inke liye kuch aur tajwez karna parre ga :crying:

tashkhees baja hai ke u ko ishq hua hai

nuskhe me nai likhna unse mulaqat musalsal.

:barbie:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

'ishq honaa kia zaroorii hai 'ishq ke asaraat murattab karne ke liye…aisaa bhii to ho saktaa ahi k duusroN ke tajrabe se sabaq seekh liyaa ho? :smiley: kuchh log hote haiN jo beemaarii ke virus liye ghoomte phirte haiN magar uskaa asar un par nahiiN hotaa! :smiley:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

aap ko zehr ka teeka laga dete hain :crying:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

lagaa deN! :frowning: …magar:
**
jo aap hii mar rahaa ho usko gar maaraa to kia maaraa!**

koii moTaa taaza, taazah-ba-dam mushTanDaa talaash karo is kaar-e-Khair ke liye! :stuck_out_tongue:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

aap aahista aahista mar rahe hain zehr sey jaldi kaam tamam :crying:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

ab to isii meN lutyf aa rahaa hai…chalaao chhurii gardan pe mirii aahista aahista!!!

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

no wo aaya , na chai aai, na biryani mili, na kabab bhijwaya :naraz:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

'aashiq ke marne kaa to intizaar farmaaiye…uske ba’d to baqaul-e-Akbar Allahabadi
**
bataauuN tumko maiN marne ke ba’ad kia hoga?
pulaao khaayeNge aHbaab, faatiHa hogaa**

aap pulaao ko biryaanii se substitute kar leN! :cb:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!

per ye to ghair islami rivayaaat nahi Godh baharai ki tarah?

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!


yaqeenan! maiN maruuNgaa to yeh sab kuchh nahiiN hogaa, inshaa Allah! mark my words! lol

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!

You mean over your dead body?

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

ab phir firangii baateN shuru kar diiN :cb:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa…merii ek Ghazal!

nai bas teeka lagaein ge :crying:

Re: na vo aaye, na chain aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa...merii ek Ghazal!

Urdu main iss level ka sentence nahin mila