**Tujh ko kyun shaq hai k teri he kisi bat ka hai,
Zeher lehjay mein meray hai jo, yeh halaat ka hai,
Mujh se kehta hai yeh andhera siyaah raaton ka,
Zeest ka lamba safar bhi to safar raat ka hai,
Kuch bhi mansoob nhi mujh se, meri duniya mein,
Dil mein jo zakhm hai to yeh gham bhi teri zaat ka hai,
Dil k zakhmon ne sawal ishq se yeh pucha hai,
Yeh azabon ka hai mousam ya anaayat ka hai?
Log kehtay hain mohabbat mein khushi milti hai,
Main yeh kehta hun k yeh behr to sadmaat ka hai,
Zakhm bss ek nhi jis se lahoo rista hai,
Ma’arkaa aisa he is ishq ki hr ghaat ka hai,
Jis tarah farz hai hum sb pay sajda raizi,
Ehteram aisay he jo farz hai , sadaat ka hai,
Khaak-e-Qarbal ko bta kyun na main chehray pay malun,
Tan mera bhi to isi khaak k zara’aat ka hai,
Faisla kon karay k kiska likha acha hai,
Khail lafzon ka nhi, mamla jazbat ka hai,
Aankh mein taab kahan hai k yeh dekhay tujh ko,
Dil hai k shoq isay phir bhi mulaqat ka hai,
Main ne yeh soch k jeet us k hawalay kr di,
Na utha paaye ga woh bojh jo is maat ka hai,**