na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa

sakuut-e-shaam-e-KhizaaN hai qariib aa jaao
baraa udaas samaaN hai qariib aa jaao

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaaN hai qariib aa jaao

raah-e-talab mein kisii ko dhyaan nahiin
hujuum-e-ham_safaraaN hai qariib aa jaao

jo dasht-e-ishq mein bichharen vo umr bhar na mile
yahaaN yahaaN dhuaaN hii dhuaaN hai qariib aa jaao

ye aaNdhiyaaN hain to shahar-e-vafaa kii Khair nahiin
zamaanaa Khaak_fashaaN hai qariib aa jaao

faaqih-e-shahar kii majalis nahiin ke duur raho
ye bazm-e-piir-e-maGaaN hai qariib aa jaao

‘Faraz’ duur ke suuraj Garuub samajhe gaye
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao

Beautiful !

Thanks for sharing :)

:k: :k:

bahut khoob khushi thanks 4 sharing

Re: na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa

Khoobsurat, buhat hee khoobsurat ghazal hai :k:

bohat khoob :k:

thanks for sharing khushee jii..
Faraz sahab ke eik achhii ghazal hai

bhut khoob:k:

Re: na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa

:k: