Na Shikayatein, Na Gila Karey

**Na shikayatein, na gila karey
Koi aisa shakhs hua karey
Jo merey liye hee saja karey
Mujh hee sey Baatein kiya karey

Kabhi roye jaey woh bepanah
Kabhi be-tahaasha udaas ho
Kabhi chupkey chupkey dabey qadam
Merey peechay Aa kar, hansa karey

Meri qurbatein, meri chaahatein
Koi yaad kare qadam qadam
Mein taveel safar mein hoon agar
Meri waapsi ki Dua karey**

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

yeh khubsurat ghazal Poetry ky bjay cafe main kion zaya kar rahy ho:smilestar:

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

**Nice sharing...

Poetry .......... :ASA:**

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

:smilestar: yeh bhi koi anny ka time hy jab main ja rahi hon, Lady Hawk" walal mamla ho giya:D

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

**jab bhe maiN aata hooN woh aap k jane ka time ho jata hai…

"abhi tu aaya hooN aur tum jane lagy ho
ye bhe kya dil lagi dil lagi hai.. " :bummer:**

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

yeh to intikhaab me share honi chahye

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Actually is liay yanhaan Share karni pari kay jis ko dedicate karni thi woh GUPSHUP mein mojood thi so yanhaan par Post karni pari :CareBear:

Anyhow, Sorry :)

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

:aq:
kis ko dedicate ki hai naam mention karo na

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

:)

everything is fair in LOVE n WAR.. :)

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Bus hay koi, aap ko kyun bataon.:confused:

Aap nay kabhi WOH kay baaray mein bataya hay ??? :aq:

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

nahin app ki fiancee GS par aatee hain iss ka matlab tou ye hoa na…Mut batain…mujhay pata chal gaya:D

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Thanks for Encouragment.

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Ufff

file:///C:/Documents%20and%20Settings/Arsalan.Hussain/Desktop/Collect/GupShup%20Forums%20-%20Smilies_files/smack.gif

Sonia ji, tumhara koyi hal nahi hay

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

:teary2:
mein nay kya kiya hai???

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

it's beautiful

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

bhut achi hey :)

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Dil lagi kuch aysi dill ko lagi ky dil kho giya
Kisi ka deewana hay yeh dill ho giya:D


Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

**Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai**

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

bohut khub :k:

Re: Na Shikayatein, Na Gila Karey

Aap ko kaisay pata chala ???