Na sawal ban kay mila karoo

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo

sitam karo ya karam karo hum gila nahi kerte..
yaqinan khizaan mein phool khila nahi kerte..
mila do khak mein hum ko magar yaad rakhna..
hum jese dost phir mila nahi kerte

Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say

Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya
Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya
Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka
Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya

Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain
Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain
Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain
Kabhi khuwaboo mai choom liya kartay

Main raiza raiza hawa main bikhar gia chup chaap,
Teray firaq ka mosam guzar gia chup chaap,
Kisi nay kaan nah meri sada-e-dil pay dharay,
Meray wajood main ek shakhs mar gia chup chaap

Teray gally mai jo bahoon ko dal rakhtay hain
Tujhay mana nay ka kaisa kamal rakhtay hain
Tujhay maloom hai tujhay soochnay ki khatir
Bohot say kam muqaddar pay tal rakhtay hain

Re: Na sawal ban kay mila karoo

itz very nice :k:

Re: Na sawal ban kay mila karoo

very nice :k:

Re: Na sawal ban kay mila karoo

Aaray wah bouhat khoub

Na sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo

Re: Na sawal ban kay mila karoo

oye tu te chak ditte phattttttte

Re: Na sawal ban kay mila karoo

bahot khoob…:k:

Re: Na sawal ban kay mila karoo

very nice!

Re: Na sawal ban kay mila karoo

Beautiful :flower1: