Na sama'aton main tapish ghule,na nazar ko waqf-e-aazab kar

**Na sama’aton main tapish ghule,na nazar ko waqf-e-aazab kar
Jo sunaai de usey chup sikha,jo dikhai de usey khwab kar

Abhi muntashir na ho ajnabi na wisaal rut ka karam jata
Jo teri talash main gum hoye kabhi un dino ka hisaab kar

Mere sabr pe koi ajar kyoun,meri dopahar pe ye abar kyoun
Mujhe aurhnay de aziyaten, meri aadatain na kharab kar

Kahin aablon k bhanwar main khoyen,dhoop badan main sajaen
Kabhi dil ko thall ka mizaaj de,kabhi chasm-e-ter ko chanab kar

Ye hajoom-e-sheher-e-sitam garan na sune ga teri sada kabhi
Meri hasraton ko sukhan suna, meri khawaishon se khitaab kar

Ye jaloos-e-fasl-e-bahar hai tehi dast,yaar saja isey
Koi ashak phir se sharar bana,koi zakham phir se gulaab kar **

Re: Na sama’aton main tapish ghule,na nazar ko waqf-e-aazab kar

it was posted recently…great ghazal :):k: … thanx for sharing.

Re: Na sama’aton main tapish ghule,na nazar ko waqf-e-aazab kar

:k: