Na-rasahiyon ki thakan

Baarhaa aise bhi apne dil ko behlana para.
Sham-e-tanhahi mein yadon se lipaT jana para.

Har dafha pahli shana-sahiyan na yaad aayeen use;
Har dafha apna taharruf phir se karvana para.

Reza reza ho gaye hain aaj mere Khwaab phir;
Aaj ek patthar se phir sheeshe ko takrana para.

Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana para.

Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana
Dil ke go har faisile par hameen pachtana para.

Re: Na-rasahiyon ki thakan

Na-rasahiyon ki thakan ne kar diya halkan phir;
Dasht se nikle to vaapis dasht mein aana para.

:lajawab:

wo Muneer Niazi ka kia sher tha// ek aur darya ka samna

Re: Na-rasahiyon ki thakan

Phir bhi ham ne aql ko rahbar nahien mana
Dil ke go har faisile par hameen pachtana para
:lajawab:

Re: Na-rasahiyon ki thakan

wah kia kehnay han :k: