Kabhi kabhi youn lagta hay jesy wo kooch kehty kehty rook jata hay
Dill ki baat jaab hoontoon pay aa kay us kay tham jati hay
Phir youn lagta hay jesy waqat bhi thaum jata hay
Darkanain haamari younhi bhaaR jatin hain
ilzam usay dain gay nahin choop rehnay ka kabhi bhi
Sunnay ki talkh haqeeqat himat hum main bhi nahin hay
Wo baas samny hamaray rahy agar-cha kisi or ka ho kay hi sahi
Doori uski manzoor nahin hay kisi qeemat main bhi humain
Ho ga to ranj hamain zaroor jantain hain lakin
Qismat ka likha bhi to badal na saky ga ya bhi jantain hain
Taqdeer badhal bhi sakti hay ya maloom hay lakin
Himat-o-hosalah hum main nahin hay ya bhi jantain hain
Safar kitna lambha hay jantain hain, tery bin kesy katy ga maloom nahin
Ank naam hi rehti hay…
Dill ki darkan paal paal hum say kehti hay
Keh day dill ki baat us say dair na kaar sun to zara
Hum us ko samjatain hain, hwahish na kaar suraj ko choonay ki
Choop hi reh tu kooch na keh sehay ja ya dard-e-sitam
Ay dill-e-nadan tu khudi main reh haad say na bhaar,pagal tu
Tooty ga tuhi hood say milly gi na phir bhi aik hushi
Us kay bin hi jeena hay, zehr-ejudhai peena hay
Sochain gay zindagi kay kisi mooR pay hum, tu na mila to kia mila!