Na mei paas uss ko bulaa saka, na mei dil ki baat suna saka
wo hansi hansi mei hi chal diya keh mei haath tak na hila saka
na hai dushmani kissi din se, ab na hai dosti kissi raat se
hai bacha hi kiya jo wo le gaya, mujhe cheen kar meri zaat se
ye mukaam hi tha ajeeb sa keh mei khud ko bhi na bacha saka
na mei paas uss ko bulaa saka, na mei dil ki baat suna saka
ye bhi theek hai wo chala gaya, mujhe band rastey per chor ker
ye bhi theek hai keh na aye gaa kabhie buut ana ka wo tor ker
wo judaa bhi kaise hua keh mei koi rasm tak na nibha saka
na mei paas uss ko bulaa saka, na mei dil ki baat suna saka…