na main dil ke baat suna saka

na mein pass us ko bula sakha na mein dil ki baat suna sakha
woh hansi hansi hi mein chal diya k mein haath tak na hila sakha
mujhay kiya khaber k mujhay kiya hua mujhay kitna ghaira khumaar tha
mien khara tha us k hasaar mein meray ird gird gubar tha
yunhi sochta raha dair talak magher us ko kuch na bata sakha
na mein pass us ko bula sakha na mein dil ki baat suna sakha
na hai dushmani kissi din say ab na hai dosti kissi raat say
hai bacha hi kiya jo woh lai gaya mujhay cheen ker meri zaat say
woh maqam hi tha ajeeb sa k mein khud ko bhi na bacha sakha
na mein pass us ko bula sakha na mein dil ki baat suna sakha
yeh bhi theek hai woh chala gaya mujhay bund rustay pay chor ker
yeh bhi theek hai k na aaye ga kabhi but ana ka woh tor ker
woh juda bhi kaisay hua k mein koi rasam bhi na nibha sakha
na mein pass us ko bula sakha na mein dil ki baat suna sakha
woh hansi hansi hi mein chal diya k mein haath tak na hila sakha
jo meray qareeb na aa sakha mein ussi say dur na ja sakha
mera pyar bhi koi pair tha k jo barg o baar na pa sakha
mein khizaan ki rut mein juda hua mein bahar rut na mana sakha
ussay dekh laita mein eik nazar jisay dil kabhi na bhula sakha
mein tha bai khudi ki giraft mien koi rasam bhi na nibha sakha
na mien pass us ko bula sakha na mein dil ki baat suna sakha
woh hansi hansi hi mien chal diya k mein haath tak na hila sakha

Re: na main dil ke baat suna saka

Very Nice.. :k:

Re: na main dil ke baat suna saka

Baarha Parhi Hui Par Bohat Khobsurat This Kind Of GR8 Peices Of Poetry Jitni Bhi Baar Parho Har Baar Maza Aata Hai :)

Thanks For sHariNg Ts JEE khush Rahiye !

Re: na main dil ke baat suna saka

Its Amazing to read it Again....................
Bohat Khobsorat sharing hai!
:)

Re: na main dil ke baat suna saka

doobara parh k buhat acha laga, thanks tahreem :-)

Re: na main dil ke baat suna saka

bahot khuubsurat intekhaab TS :)