Naa mai uss ko paas bulla saka naa mai dil ki baat suna saka
woh hansi hansi may hi chal diye keh mai haath tak na hila saka
mujhay kiya khabr keh woh kiya huwa mujhay kitna ghehra khumaar thaa
mai kharra thaa uss kay khassar may, merey ird gird ghubaar thaa
youn hi souchta raha deyr takk magar uss ko kuch na bata saka
naa paas uss ko bulla saka na mai dil ki baat suna saka
na hai dousti kisi din say abb na hai dosti kisi raat say
hai bacha hi kiya woh jo lay gaya cheen kar mujh ko meri zaat say
yeh muqaam hi thaa ajeeb sa keh khud ko bhi na bacha saka
naa mai paas uss ko bula saka na mai dil ki baat suna saka
yeh bhi theek hai woh chala gaya mujhay bund rastay par chour kar
yeh bhi theek hai keh naa aye ga kabhi anna ko woh tourr kar
woh judah bhi kaisey huwa keh mai koi rasm bhi naa nibha saka
na mai uss ko paas bula saka na dil ki baat suna saka
woh hansi hansi may chal diye keh mai haath tak na hila saka!
Bohot achi hay, lakin Bahadur Shah Zafar ki nahi hay
I will chk from my diary, agar main any apni diary main poet ka naam bhi lika hoa to
anyway thanks for a very nice one