Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Wo hansi hansi mehi chal dya mein hath tak na mila saka
Mujhe kia khabar wo kyahua mujhe kitna gehra khumar tha
Mein Kharra tha uske hisar mein mere ird gird ghubar tha
Yunhi sochta raha der tak magar usko na kuch bata saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Na hai dushmani kisi din se ab na hai dosti kisi rats se
Hai bacha hi kia jo wo le gaya mujhe chin kar meri zat se
Ye maqam hi tha ajeeb sa ke mein khud ko bhi na pa saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka
Ye bhi thik hai wo chalagaya mujhe band raste pe chorr kar
Ye bhi thik hai ke na aye ga kabhi but ana ka torr kar
Wo juda bhi kaise hua ke mein koi rasam bhi na nibha saka
Na mein pas usko bula saka na mein dil ki bat bata saka