Re: Na Likhna
totay huway rishton ka har zakhm hara likhna
jab bhi unhay khat likhna adaab meray likhna
urtay huway sab panchi perondh pe utar aaein
mausam ki shararat thi baghon ko hara likhna
woh daur bhi tha apna jab shawk hamay bhi tha
college ki kitabon pe larki ka pata likhna
ghalib ke khaton jaisi tehzeeb nahi miltee
aadaab bardon ko aur choton ko dua likhna :-)