Daanie
1
Khat likhna aur khat ke neeche naam na likhna
Dil likhna aur dil ka koi peghaam na likhna
Khoob adaa hai ye takdeer ke katib ki
Ahl-e-wafaa ki kismat mein araam na likhna
Likhne waalo shok se likhna pyar ke kisse
Lekin inn afsaanon ka anjaam na likhna
Inn ki kismat mein hai hansna aur hansana
Inn phoolon ke liye khizaan ki shaam na likhna
http://img171.imageshack.us/img171/649/hrtsparkleyy7.gif
GenSec
3
Re: Na Likhna
totay huway rishton ka har zakhm hara likhna
jab bhi unhay khat likhna adaab meray likhna
urtay huway sab panchi perondh pe utar aaein
mausam ki shararat thi baghon ko hara likhna
woh daur bhi tha apna jab shawk hamay bhi tha
college ki kitabon pe larki ka pata likhna
ghalib ke khaton jaisi tehzeeb nahi miltee
aadaab bardon ko aur choton ko dua likhna :-)
muncho
7
Re: Na Likhna
Inn ki kismat mein hai hansna aur hansana
Inn phoolon ke liye khizaan ki shaam na likhna
kia kahnay!
muncho
8
woh daur bhi tha apna jab shawk hamay bhi tha
college ki kitabon pe larki ka pata likhna
lolz ;)
Aryaan
10
Re: Na Likhna
Bohat khoob Daanie & GenSec...
Re: Na Likhna
very nice again aryaan...........
Daanie
14
Re: Na Likhna
thanks everyone for your replies :)
abeeha
16
Re: Na Likhna
bht achi auer simple poem hy Daanie