Na kissi pay Zakham ayyaan koi, Na kissi ko fikr rafu ki hay
Na karam hay hum pay habib ka, na nigah hum pay adu ki hay
Saf-e-zadaan hay tau bay yaqeen, saf-e-mai kashaan hay tau bay talab
Na woh subho wird-o-wuzu ki hay, na woh sham jam-o-suubu ki hay
Na yeh ghum naya, na sitam naya kay teri jafa ka gilla karrain
Yeh nazar thi pehlay bhi muztarib, yeh kasak tau dil main kabhu ki hay
kaf-e-baaghbaan pay bahar-e-gul ka hay Qarz pehlay say baishtarr
k harr eik phool kay pairahann main namood mere lahoo ki hay
naheen khauf-e-roz-e-siyya hamain, k hay Faiz zarf-e-nigah main
abhi gosha geer woh ek kiran, jo lagan us aina roo ki hay
–Faiz Ahmad Faiz