Na kisi kee aankh ka noor hooN...

Na kisi kee aankh ka noor hooN, na kisi kay dil ka qarar hooN Kisi kaam maiN jo na aasakay, maiN wo ek musht e GHubaar hooN

MaiN naheeN hooN naGHma e jaaN fizaaN, koi mujh ko sun kay karay ga kia?
MaiN baRay baroog kee hooN sada, maiN baRay dukhee kee pukaar hooN

Mera baKHt mujh say bichaR gaya, mera rang roop bigaR gaya
Jo KHIzaN say baaGH ujaR gay, maiN usee kee fasl e bahaar hooN

Pay fateha koi aaye kyuN, koi chaar phuul CHaRhaye kyuN
Koi shama laa kay jalaye kyuN, keh maiN bay kasi ka mazaar hooN

Na maiN MUZTAR unka habib hooN, na maiN MUZTAR unka raqeeb hooN
Jo bigaR gaya wo naseeb hooN, jo ujaR gaya wo dayaar hooN

**Muztar Khairabadi khaliq haiN is ghazal kay, jo keh JaN Nisaar Akhter kay father thay. **

nice :k:

Boht khoob..:k:

very nice..:)

very nice :k:

PS
guess karny waly ko kya mily ga :smiley:

Thanks Reet, HeArT HaCKeR, Koyal, n chand_chehra.
Chando jee jo aap chahain :blush: