na khawab humerai hain na taberain hain
hum too pani pai banai hue tasverain hain
kiya khabar kab kisi insan pai cchat aan girai
qariya-e-sang hai aur kanch ki tamerain hain
lut gai mufat mein donoon teri daulat mera dil
aai sakhi teri meri aik si taqderain hain
hum jo na khuwanda nahin hain too chalo au parhain
woh jo deewar pai likhi hui tahrirayn hain
ho na ho yeh koi sach bolnai wala hai Qateel
jis kai hathoon mein qalam paoon mein zanjeerain hain
poet: Qateel Shafai