*Daikh Lo Khwaab Magar Khwaab Ka Charchaa Na Karo
Log Jal Jai’ngey Soraj Ki Taman’na Na Karo
Vaqt Ka Kiya Hay Kisi Pal Bhi Badal Sakta Hay*
*Ho Sakay Tum Say Tou Tum Mujh Pay Bharosa Na Karo
Kirchiyaa’n Toottay Hovay Aks Ki Chubh Jai’ngee
Aur Kuch Roz Abhee Aa’eena Daykha Na Karo
Ajnabee Lagnay Lagay Khd Tumhain Apna Hee Wajood
Apnay Din Raat Ko Itnaa Bhi Akaylaa Na Karo
*
*Khwaab Bachchoo’n K Khilaunoo’n Ki Tarah Hotay Hay
Khwaab Daykha Na Karoo Khwaab Dikhaya Na Karo
*
BaKhayalee Main Kabhi Ungliyaanaa’n Jal Jai’ngee
*Rakh Guzray Hovay Lamhoo’n Ki Kuraydaa Na Karo
Mom K Rishtay Hain Garmi Say Pighal Jai’ngey
Dhoop K Shaher Main “Aazer” Yay Tamasha Na Karo *
^Kafeel Aazer^*