Dekh lo khaab magar khaab ka charcha na karo
Loog jal jaaein ge sooraj ki tamanna na karo
Waqt ka kia hai kisi pal bhi badal sakta hai
Ho sakey tum se to tum mujh pe bharosa na karo
Kirchiaan tootey huye aks ki chubh jaein gii
Aur kuch rooz abhi aaeena dekha na karo
Ajnabi lagne lagey jo tumhein apna hi wajood
Apne din raat ko itna bhi akela na karo
Khaab bachoon kay khilonoon ki tarha hotey hein
Khaab dekha na karo khaab dikhaya na karo
Be khayali mein kabhi ungliaan jal jaaein gii
Raakh guzrey huye lamhoon ki kureda na karo
Moom kay rishtey hein garmi se pighal jaaein ge
Dhoop kay sheher mein Azaad tamasha na karo